apni KHush-zauqi pe ek ilzam ho kar rah gae
apnī ḳhush-zauqī pe ik ilzām ho kar rah ga.e
naam vaale the barā.e-nām ho kar rah ga.e
ā.inoñ meñ koī vāzeh aks kyoñ aane lagā
jab hamīñ min-jumla-e-auhām ho kar rah ga.e
kitne saa.e zindagī kī ik alāmat ban ga.e
kitne jazbe zehn kā ib.hām ho kar rah ga.e
ham bhī kyā kahte kisī se log kyā pahchānte
tere ghar kī sub.h the aur shaam ho kar rah ga.e
raah meñ TuuTe hue par uḌne vāloñ ke liye
kaise kaise halqa-hā-e-dām ho kar rah ga.e
umr bhar parchhā.iyāñ apne ta.āqub meñ rahīñ
jab haqā.eq se bache badnām ho kar rah ga.e
un ke dāman se zarā sā fāsla kyā baḌh gayā
ham rahīn-e-gardish-e-ayyām ho kar rah ga.e
apni KHush-zauqi pe ek ilzam ho kar rah gae
nam wale the barae-nam ho kar rah gae
aainon mein koi wazeh aks kyon aane laga
jab hamin min-jumla-e-auham ho kar rah gae
kitne sae zindagi ki ek alamat ban gae
kitne jazbe zehn ka ibham ho kar rah gae
hum bhi kya kahte kisi se log kya pahchante
tere ghar ki subh the aur sham ho kar rah gae
rah mein TuTe hue par uDne walon ke liye
kaise kaise halqa-ha-e-dam ho kar rah gae
umr bhar parchhaiyan apne taaqub mein rahin
jab haqaeq se bache badnam ho kar rah gae
un ke daman se zara sa fasla kya baDh gaya
hum rahin-e-gardish-e-ayyam ho kar rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.