apni KHushbu mein apni ada mein rahe
apnī ḳhushbū meñ apnī adā meñ rahe
ham jo apnī hī āb-o-havā meñ rahe
log logoñ se milte bichhaḌte rahe
ham bahut ḳhush rahe ham ḳhudā meñ rahe
ruuh pyāsī rahī ik udāsī rahī
ham jahāñ bhī rahe karbalā meñ rahe
chand lamhe sahī kyā ye kam hai koī
āñsuoñ meñ rahe iltijā meñ rahe
terī ḳhvāhish ko apnī duā kar liyā
is bahāne musalsal duā meñ rahe
āsmānī sahīfoñ kā daura kiyā
ambiyā auliyā ausiyā meñ rahe
aisī arzāniyāñ aisī uryāniyāñ
aur jo is haal meñ bhī hayā meñ rahe
nek-o-bad meñ rahe apnī had meñ rahe
had meñ rahne kā matlab anā meñ rahe
apni KHushbu mein apni ada mein rahe
hum jo apni hi aab-o-hawa mein rahe
log logon se milte bichhaDte rahe
hum bahut KHush rahe hum KHuda mein rahe
ruh pyasi rahi ek udasi rahi
hum jahan bhi rahe karbala mein rahe
chand lamhe sahi kya ye kam hai koi
aansuon mein rahe iltija mein rahe
teri KHwahish ko apni dua kar liya
is bahane musalsal dua mein rahe
aasmani sahifon ka daura kiya
ambiya auliya ausiya mein rahe
aisi arzaniyan aisi uryaniyan
aur jo is haal mein bhi haya mein rahe
nek-o-bad mein rahe apni had mein rahe
had mein rahne ka matlab ana mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.