Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni laj sambhaale hain bhai

Krishna Kumar Sharma

apni laj sambhaale hain bhai

Krishna Kumar Sharma

MORE BYKrishna Kumar Sharma

    apnī laaj sambhāle haiñ bha.ī

    ham to laḌkī vaale haiñ bha.ī

    sub.h kamā.eñ shaam pakā.eñ

    apne ThāTh nirāle haiñ bha.ī

    majbūrī hai kaun batā.e

    sab ke muñh par taale haiñ bha.ī

    phakkaḌ fitrat ke mālik haiñ

    kal ko kal par Taale haiñ bha.ī

    dil haiñ barchhī tiir kaTārī

    chehre bhole-bhāle haiñ bha.ī

    un ko ye mazmūn likhā hai

    ek kabūtar paale haiñ bha.ī

    TuuT TuuT kar hue mukammal

    ham makḌī ke jaale haiñ bha.ī

    apni laj sambhaale hain bhai

    hum to laDki wale hain bhai

    subh kamaen sham pakaen

    apne ThaTh nirale hain bhai

    majburi hai kaun batae

    sab ke munh par tale hain bhai

    phakkaD fitrat ke malik hain

    kal ko kal par Tale hain bhai

    dil hain barchhi tir kaTari

    chehre bhole-bhaale hain bhai

    un ko ye mazmun likha hai

    ek kabutar pale hain bhai

    TuT TuT kar hue mukammal

    hum makDi ke jale hain bhai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now