apni lai mein gana mushkil
apnī lai meñ gaanā mushkil
dil ko ye samjhānā mushkil
dhuup jaḌoñ tak kaise aa.e
pattoñ par lahrānā mushkil
merī ik tasvīr Tañgī hai
paar samundar jaanā mushkil
chaḌhtī sāñseñ Dūbtā dariyā
lahroñ kā lahrānā mushkil
barg-o-shajar sab ḳhuun se lat pat
manzar ye jhuTlānā mushkil
sāmne apne maiñ bhī khaḌā huuñ
mujh ko gher ke laanā mushkil
chaal hai gahrī varna dil ko
aise bhuul ke jaanā mushkil
raat kā hai vo jāgne vaalā
sub.h savere aanā mushkil
māhir hai vo harf-o-sadā kā
bātoñ meñ uljhānā mushkil
tum se bichhaḌ kar kyā kuchh biitī
ye sab hai dohrānā mushkil
us kī galī kā haal na pūchho
ab to aanā jaanā mushkil
maujoñ kī dīvār khaḌī hai
biich bhañvar meñ jaanā mushkil
us kī kahānī kis se kahiye
'ajmal' kā afsāna mushkil
apni lai mein gana mushkil
dil ko ye samjhana mushkil
dhup jaDon tak kaise aae
patton par lahrana mushkil
meri ek taswir Tangi hai
par samundar jaana mushkil
chaDhti sansen Dubta dariya
lahron ka lahrana mushkil
barg-o-shajar sab KHun se lat pat
manzar ye jhuTlana mushkil
samne apne main bhi khaDa hun
mujh ko gher ke lana mushkil
chaal hai gahri warna dil ko
aise bhul ke jaana mushkil
raat ka hai wo jagne wala
subh sawere aana mushkil
mahir hai wo harf-o-sada ka
baaton mein uljhana mushkil
tum se bichhaD kar kya kuchh biti
ye sab hai dohrana mushkil
us ki gali ka haal na puchho
ab to aana jaana mushkil
maujon ki diwar khaDi hai
bich bhanwar mein jaana mushkil
us ki kahani kis se kahiye
'ajmal' ka afsana mushkil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.