apnī man marzī se jiinā chāhte haiñ
jī lene do jaise jiinā chāhte haiñ
suno mire āñgan meñ kheltī āvāzeñ
dekho saare bachche jiinā chāhte haiñ
tumheñ hamesha zinda rahnā hai shāyad
ham marne se pahle jiinā chāhte haiñ
koī kisī ke saath nahīñ mar saktā hai
isī liye ham mil ke jiinā chāhte haiñ
merī laḌkī ko bhī jiine kā haq hai
jaise tumhāre laḌke jiinā chāhte haiñ
apni man marzi se jina chahte hain
ji lene do jaise jina chahte hain
suno mere aangan mein khelti aawazen
dekho sare bachche jina chahte hain
tumhein hamesha zinda rahna hai shayad
hum marne se pahle jina chahte hain
koi kisi ke sath nahin mar sakta hai
isi liye hum mil ke jina chahte hain
meri laDki ko bhi jine ka haq hai
jaise tumhaare laDke jina chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.