apni marzi hi karoge tum bhi
apnī marzī hī karoge tum bhī
kuchh kisī kī na sunoge tum bhī
vaqt se bach na sakoge tum bhī
jo karoge vo bharoge tum bhī
ek āvāz sunī hai ham ne
ek āvāz sunoge tum bhī
aaj āñdhī ho to miTTī kī tarah
ek din baiTh rahoge tum bhī
aaj sarkār bane baiThe ho
kal ko fariyād karoge tum bhī
yahī hotā hai yahī honā hai
ek din haath maloge tum bhī
jab nikal jā.egā 'rūhī' matlab
kitne ilzām dharoge tum bhī
apni marzi hi karoge tum bhi
kuchh kisi ki na sunoge tum bhi
waqt se bach na sakoge tum bhi
jo karoge wo bharoge tum bhi
ek aawaz suni hai hum ne
ek aawaz sunoge tum bhi
aaj aandhi ho to miTTi ki tarah
ek din baiTh rahoge tum bhi
aaj sarkar bane baiThe ho
kal ko fariyaad karoge tum bhi
yahi hota hai yahi hona hai
ek din hath maloge tum bhi
jab nikal jaega 'ruhi' matlab
kitne ilzam dharoge tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.