apni marzi ke muafiq dahr ko kyunkar karun
apnī marzī ke muāfiq dahr ko kyūñkar karūñ
behad aatā hai mujhe ġhussa magar kis par karūñ
chal base chhoTe baḌe thā jin se lutf-e-zindagī
mujh pe kis ko naaz hai maiñ naaz ab kis par karūñ
vasl kī shab hasb-e-mausam ho hī jā.egī sahar
lutf uThā.ūñ yā darāzī kī du'ā shab-bhar karūñ
daur-e-be-mehrī hai ummīd-e-mohabbat kis se ho
uḌ rahī hai ḳhaak har sū kis ke dil meñ ghar karūñ
apni marzi ke muafiq dahr ko kyunkar karun
behad aata hai mujhe ghussa magar kis par karun
chal base chhoTe baDe tha jin se lutf-e-zindagi
mujh pe kis ko naz hai main naz ab kis par karun
wasl ki shab hasb-e-mausam ho hi jaegi sahar
lutf uThaun ya daraazi ki du'a shab-bhar karun
daur-e-be-mehri hai ummid-e-mohabbat kis se ho
uD rahi hai KHak har su kis ke dil mein ghar karun
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 104)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.