apni masarraton ke nae bab DhunDne
apnī masarratoñ ke na.e baab DhūñDne
āñkheñ nikal paḌī haiñ na.e ḳhvāb DhūñDne
vo dekho āsmān meñ bādal kī kashtiyāñ
jaatī haiñ koī paikar-e-mahtāb DhūñDne
maazī kī samt jaate haiñ ham apne haal se
rāhoñ meñ kho gayā hai jo asbāb DhūñDne
hairat hai in dinoñ to tumhāre ḳhayāl bhī
aate haiñ merī āñkhoñ meñ sailāb DhūñDne
apni masarraton ke nae bab DhunDne
aankhen nikal paDi hain nae KHwab DhunDne
wo dekho aasman mein baadal ki kashtiyan
jati hain koi paikar-e-mahtab DhunDne
mazi ki samt jate hain hum apne haal se
rahon mein kho gaya hai jo asbab DhunDne
hairat hai in dinon to tumhaare KHayal bhi
aate hain meri aankhon mein sailab DhunDne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.