apni miTTi se yun juDe hue hain
apnī miTTī se yuuñ juḌe hue haiñ
chal rahe haiñ magar ruke hue haiñ
dā.eroñ meñ safar kiyā ham ne
ham jahāñ the vahīñ khaḌe hue haiñ
ḳhud ko anmol kahne vaale ham
ek pal ke evaz bike hue haiñ
jhūTī ummīd mat dilāo hameñ
in vafāoñ ke ham Dase hue haiñ
tum jahāñ chhoḌ kar ga.e the hameñ
ham usī moḌ par khaḌe hue haiñ
apni miTTi se yun juDe hue hain
chal rahe hain magar ruke hue hain
daeron mein safar kiya hum ne
hum jahan the wahin khaDe hue hain
KHud ko anmol kahne wale hum
ek pal ke ewaz bike hue hain
jhuTi ummid mat dilao hamein
in wafaon ke hum Dase hue hain
tum jahan chhoD kar gae the hamein
hum usi moD par khaDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.