apni mohabbaton ka ye achchha sila mila
apnī mohabbatoñ kā ye achchhā sila milā
jo bhī milā mujhe vo mujhī se ḳhafā milā
tujh se bichhaḌ ke bhī maiñ na tujh se bichhaḌ sakā
jis raah par gayā maiñ tirā naqsh-e-pā milā
ahl-e-karam kī bhiiḌ se guzrī hai zindagī
tujh sā magar koī na karam-āshnā milā
duniyā jafā-shi.ār rahī hai ye sach sahī
ai rah-navard rāh-e-vafā tujh ko kyā milā
is ko quyūd-e-aql ne dīvāna kar diyā
bāhar milā mujhe to vo achchhā-bhalā milā
ḳhushiyāñ milīñ to aañkh jhapakne kī der tak
ġham jo milā mujhe vo bahut der-pā milā
is muḳhtasar hayāt meñ kis kis ko roiye
har marhala hayāt kā sabr-āzmā milā
nādīda ik kashish hai nahīñ jis kā koī naam
dil se nigāh tak ik ajab silsila milā
be-e'tinā.iyoñ se milī tāb-e-zabt-e-ġham
terī navāzishoñ se mujhe hausla milā
terā karam hai terī ināyat hai ai junūñ
maiñ jis ko DhūñDhtā thā mujhī meñ chhupā milā
'qādir' bahut nihāl hai apnī shikast par
baazī lagā.ī dil kī to us kā maza milā
apni mohabbaton ka ye achchha sila mila
jo bhi mila mujhe wo mujhi se KHafa mila
tujh se bichhaD ke bhi main na tujh se bichhaD saka
jis rah par gaya main tera naqsh-e-pa mila
ahl-e-karam ki bhiD se guzri hai zindagi
tujh sa magar koi na karam-ashna mila
duniya jafa-shiar rahi hai ye sach sahi
ai rah-naward rah-e-wafa tujh ko kya mila
is ko quyud-e-aql ne diwana kar diya
bahar mila mujhe to wo achchha-bhala mila
KHushiyan milin to aankh jhapakne ki der tak
gham jo mila mujhe wo bahut der-pa mila
is muKHtasar hayat mein kis kis ko roiye
har marhala hayat ka sabr-azma mila
nadida ek kashish hai nahin jis ka koi nam
dil se nigah tak ek ajab silsila mila
be-e'tinaiyon se mili tab-e-zabt-e-gham
teri nawazishon se mujhe hausla mila
tera karam hai teri inayat hai ai junun
main jis ko DhunDhta tha mujhi mein chhupa mila
'qadir' bahut nihaal hai apni shikast par
bazi lagai dil ki to us ka maza mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.