Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le

Khalid Raheem

apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le

Khalid Raheem

MORE BYKhalid Raheem

    apnī nā-karda-gunāhī sila bhī rakh le

    dil ke ḳhāne meñ zarā ḳhauf-e-ḳhudā bhī rakh le

    tujh ko le jā.egī sannāTe meñ ik roz hayāt

    apne kānoñ ke liye sañg-e-sadā bhī rakh le

    bujh na jaa.e kahīñ ehsās ke sho.aloñ mizāj

    munjamid vaqt hai thoḌī havā bhī rakh le

    fāsla aur baḌhā degī anā dahlīz

    darmiyāñ zīna-e-iḳhlās-e-vafā bhī rakh le

    zindagī dasht-e-tilismāt jānib hai ravāñ

    kuchh to hamrāh buzurgoñ duā bhī rakh le

    roz milnā girāñ-bār-e-ta.alluq na bane

    be-sabab us se kabhī ḳhud ko judā bhī rakh le

    apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le

    dil ke KHane mein zara KHauf-e-KHuda bhi rakh le

    tujh ko le jaegi sannaTe mein ek roz hayat

    apne kanon ke liye sang-e-sada bhi rakh le

    bujh na jae kahin ehsas ke shoalon ka mizaj

    munjamid waqt hai thoDi si hawa bhi rakh le

    fasla aur baDha degi ana ki dahliz

    darmiyan zina-e-iKHlas-e-wafa bhi rakh le

    zindagi dasht-e-tilismat ki jaanib hai rawan

    kuchh to hamrah buzurgon ki dua bhi rakh le

    roz ka milna giran-bar-e-talluq na bane

    be-sabab us se kabhi KHud ko juda bhi rakh le

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now