apni nakaam mohabbat pe hansi aati hai
apnī nākām mohabbat pe hañsī aatī hai
dil kī bigḌī huī qismat pe hañsī aatī hai
maiñ ne samjhā thā sahārā jise apne dil kā
aaj mujh ko usī ulfat pe hañsī aatī hai
Dhal ga.ī jo kisī be-rabt se afsāne meñ
dil kī us taaza haqīqat pe hañsī aatī hai
chāhtā hai ki unheñ shām-o-sahar pyaar kare
dil-e-ma.asūm kī hasrat pe hañsī aatī hai
jis parī-vash ke liye maiñ ne luTā dī hastī
us ko bhī ab mirī hālat pe hañsī aatī hai
apni nakaam mohabbat pe hansi aati hai
dil ki bigDi hui qismat pe hansi aati hai
main ne samjha tha sahaara jise apne dil ka
aaj mujh ko usi ulfat pe hansi aati hai
Dhal gai jo kisi be-rabt se afsane mein
dil ki us taza haqiqat pe hansi aati hai
chahta hai ki unhen sham-o-sahar pyar kare
dil-e-masum ki hasrat pe hansi aati hai
jis pari-wash ke liye main ne luTa di hasti
us ko bhi ab meri haalat pe hansi aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.