apni nazren dar-o-diwar par aksar rakhna
apnī nazreñ dar-o-dīvār par aksar rakhnā
ajnabī ghar meñ qadam soch-samajh kar rakhnā
kahīñ phaT jaa.e kaleja na vufūr-e-ġham se
apnī palkoñ meñ chhupā kar na samundar rakhnā
itnā āsān nahīñ un ko bhulānā dil se
soch kar apne kaleje pe ye patthar rakhnā
yaad aatā hai vo manzar tire afsāne kā
apne mahbūb ko dushman ke barābar rakhnā
ḳhvāb meñ ā.eñge pur-nūr parinde lekin
shart hai saaf magar zehn kā bistar rakhnā
sauñp dī maiñ ne tumheñ mehr-o-vafā kī kunjī
lauT ā.ūñgā salīqe se mirā ghar rakhnā
ai 'asar' abrū phūloñ kī jhulas jā.egī
tum na sho'loñ kī hathelī pe gul-e-tar rakhnā
apni nazren dar-o-diwar par aksar rakhna
ajnabi ghar mein qadam soch-samajh kar rakhna
kahin phaT jae kaleja na wufur-e-gham se
apni palkon mein chhupa kar na samundar rakhna
itna aasan nahin un ko bhulana dil se
soch kar apne kaleje pe ye patthar rakhna
yaad aata hai wo manzar tere afsane ka
apne mahbub ko dushman ke barabar rakhna
KHwab mein aaenge pur-nur parinde lekin
shart hai saf magar zehn ka bistar rakhna
saunp di main ne tumhein mehr-o-wafa ki kunji
lauT aaunga saliqe se mera ghar rakhna
ai 'asar' abru phulon ki jhulas jaegi
tum na sho'lon ki hatheli pe gul-e-tar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.