apni nigah-e-shauq ko ruswa karenge hum
apnī nigāh-e-shauq ko rusvā kareñge ham
har dil ko be-qarār-e-tamanā kareñge ham
haañ aap ko uThānā paḌegī nigāh-e-lutf
kyā muft apne raaz ko ifshā kareñge ham
ḳhalvat-kade meñ dil ke biThā deñge husn ko
aur apne jalve anjuman-ārā kareñge ham
ai husn ham ko hijr kī rātoñ kā ḳhauf kyā
terā ḳhayāl jāgegā soyā kareñge ham
ye dil se kah ke aahoñ ke jhoñke nikal ga.e
un ko thapak thapak ke sulāyā kareñge ham
apni nigah-e-shauq ko ruswa karenge hum
har dil ko be-qarar-e-tamana karenge hum
han aap ko uThana paDegi nigah-e-lutf
kya muft apne raaz ko ifsha karenge hum
KHalwat-kade mein dil ke biTha denge husn ko
aur apne jalwe anjuman-ara karenge hum
ai husn hum ko hijr ki raaton ka KHauf kya
tera KHayal jagega soya karenge hum
ye dil se kah ke aahon ke jhonke nikal gae
un ko thapak thapak ke sulaya karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.