apni palkon pe kuchh nami le kar
apnī palkoñ pe kuchh namī le kar
ab vo aa.e haiñ zindagī le kar
raas kuchh aa gayā hai ġham itnā
kyā karūñgā maiñ sarḳhushī le kar
dil ke darvāze band haiñ sab ke
ham kahāñ jaa.eñ dostī le kar
din to guzrā kisī tarah 'betāb'
raat aa.ī hai bekalī le kar
apni palkon pe kuchh nami le kar
ab wo aae hain zindagi le kar
ras kuchh aa gaya hai gham itna
kya karunga main sarKHushi le kar
dil ke darwaze band hain sab ke
hum kahan jaen dosti le kar
din to guzra kisi tarah 'betab'
raat aai hai bekali le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.