Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain

Mah Talat Zahidi

apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain

Mah Talat Zahidi

MORE BYMah Talat Zahidi

    apnī palkoñ se jo TuuTe haiñ guhar dekhte haiñ

    ham duā māñgte haiñ aur asar dekhte haiñ

    koī barsā huā bādal bhī jo guzrā hai to ham

    Dar ke bārish meñ Tapaktā huā ghar dekhte haiñ

    sair kaisī yahāñ tahzīb zanjīr bhī hai

    ham to bas rauzan-e-dīvār se dar dekhte haiñ

    sirf ḳhvāboñ jahāñ ham ne sajāyā varna

    log to meñ jo aa jaa.e vo kar dekhte haiñ

    dāġh-e-dil dīda-e-tar vahshat-e-jāñ tanhā.ī

    un ko kyā vo to faqat arz-e-hunar dekhte haiñ

    ek vo manzileñ baḌh kar jinheñ lene aa.eñ

    ek ham raah meñ jo gard-e-safar dekhte haiñ

    dil bujhā jaatā ho jab raat tārīkī meñ

    dekhne vaale tab āsār-e-sahar dekhte haiñ

    apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain

    hum dua mangte hain aur asar dekhte hain

    koi barsa hua baadal bhi jo guzra hai to hum

    Dar ke barish mein Tapakta hua ghar dekhte hain

    sair kaisi yahan tahzib ki zanjir bhi hai

    hum to bas rauzan-e-diwar se dar dekhte hain

    sirf KHwabon ka jahan hum ne sajaya warna

    log to ji mein jo aa jae wo kar dekhte hain

    dagh-e-dil dida-e-tar wahshat-e-jaan tanhai

    un ko kya wo to faqat arz-e-hunar dekhte hain

    ek wo manzilen baDh kar jinhen lene aaen

    ek hum rah mein jo gard-e-safar dekhte hain

    dil bujha jata ho jab raat ki tariki mein

    dekhne wale tab aasar-e-sahar dekhte hain

    Source :
    • Book : Shakh-e-gazal (Pg. 95)
    • Author : Mah-e-talat Zahidi
    • Publication : Baikan Books Gulgisht Multan, Kitab nagar Hassan (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now