apni pursish jo ho arbab-e-wafa se pahle
apnī pursish jo ho arbāb-e-vafā se pahle
māñgiye daulat-e-dīdār ḳhudā se pahle
jhuk gayā vo shah-e-husn aa ke gadā se pahle
ḳham huī zulf-e-dutā qadd-e-dotā se pahle
chashm-e-mushtāq laḌī chashm-e-dotā se pahle
sāmnā hogā balāoñ kā balā se pahle
tū har ik asfal-o-a.alā kā hai razzāq karīm
ustuḳhvāñ sag ko pahuñchtā hai humā se pahle
ba.ad-hū chehra-e-jānāñ ke muqābil ai charḳh
chāñd muñh us ke milā.e kaf-e-pā se pahle
baa'd bhī zikr kiyā ho jo vafādārī kā
sar qalam kījiye shamshīr-e-jafā se pahle
ḳhūn-e-dil hijr meñ piitā huuñ to ġham khātā huuñ
ki davā piite haiñ bīmār ġhizā se pahle
shauq-e-gul sūrat-e-bulbul ḳhatar-e-gulchīñ hai
sub.h-dam baaġh meñ jaatā huuñ sabā se pahle
ġhaflat-e-qalb se zuhhād paḌheñ ba.ad-e-namāz
barhaman sajda kare but ko ḳhudā se pahle
taḳht-e-tābūt ravāñ bhī hai 'ajab taḳht-e-ravāñ
shaah takiye meñ pahuñchtā hai gadā se pahle
misl-e-mūsā mujhe ġhash aa.e na ho tum ko hijāb
vā'da-e-vasl jo iifā ho hayā se pahle
shoḳh ne mehñdī malī haath meñ maiñ qatl huā
rang lā.egā lahū rañg-e-hinā se pahle
pā-e-qātil jo pas-e-marg bhī Thokar maare
nazr sar kījiye taslīm-o-razā se pahle
rū-ba-rū tere huā asfal-o-a.alā kā zuhūr
ilm-e-ḳhāliq meñ tū thā arz-o-samā se pahle
kyā bayāñ rutba-e-a.alā-e-alī ko maiñ karūñ
sair-e-me.arāj kī mahbūb-e-ḳhudā se pahle
dast-gīrī jo hai bande kī ḳhudā ko manzūr
uThte haiñ dast-e-duā 'arsh' du'ā se pahle
apni pursish jo ho arbab-e-wafa se pahle
mangiye daulat-e-didar KHuda se pahle
jhuk gaya wo shah-e-husn aa ke gada se pahle
KHam hui zulf-e-duta qadd-e-dota se pahle
chashm-e-mushtaq laDi chashm-e-dota se pahle
samna hoga balaon ka bala se pahle
tu har ek asfal-o-ala ka hai razzaq karim
ustuKHwan sag ko pahunchta hai huma se pahle
baad-hu chehra-e-jaanan ke muqabil ai charKH
chand munh us ke milae kaf-e-pa se pahle
ba'd bhi zikr kiya ho jo wafadari ka
sar qalam kijiye shamshir-e-jafa se pahle
KHun-e-dil hijr mein pita hun to gham khata hun
ki dawa pite hain bimar ghiza se pahle
shauq-e-gul surat-e-bulbul KHatar-e-gulchin hai
subh-dam bagh mein jata hun saba se pahle
ghaflat-e-qalb se zuhhad paDhen baad-e-namaz
barhaman sajda kare but ko KHuda se pahle
taKHt-e-tabut rawan bhi hai 'ajab taKHt-e-rawan
shah takiye mein pahunchta hai gada se pahle
misl-e-musa mujhe ghash aae na ho tum ko hijab
wa'da-e-wasl jo ifa ho haya se pahle
shoKH ne mehndi mali hath mein main qatl hua
rang laega lahu rang-e-hina se pahle
pa-e-qatil jo pas-e-marg bhi Thokar mare
nazr sar kijiye taslim-o-raza se pahle
ru-ba-ru tere hua asfal-o-ala ka zuhur
ilm-e-KHaliq mein tu tha arz-o-sama se pahle
kya bayan rutba-e-ala-e-ali ko main karun
sair-e-mearaj ki mahbub-e-KHuda se pahle
dast-giri jo hai bande ki KHuda ko manzur
uThte hain dast-e-dua 'arsh' du'a se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.