apni qismat aazmane shahr mein
apnī qismat āzmāne shahr meñ
aate rahte haiñ divāne shahr meñ
haiñ nishāne par tire pāgal havā
aur kitne āshiyāne shahr meñ
ḳhāna-e-dil ko sajāne ke liye
kyā nahīñ mere suhāne shahr meñ
aaj bhī hai munfarid apnā maqām
aaj bhī haiñ jāne-māne shahr meñ
aise haiñ jaise havāoñ meñ diye
ham ġharīboñ ke Thikāne shahr meñ
aur kuchh 'anjum' bhale hī ho na ho
zindagī to hai purāne shahr meñ
apni qismat aazmane shahr mein
aate rahte hain diwane shahr mein
hain nishane par tere pagal hawa
aur kitne aashiyane shahr mein
KHana-e-dil ko sajaane ke liye
kya nahin mere suhane shahr mein
aaj bhi hai munfarid apna maqam
aaj bhi hain jaane-mane shahr mein
aise hain jaise hawaon mein diye
hum gharibon ke Thikane shahr mein
aur kuchh 'anjum' bhale hi ho na ho
zindagi to hai purane shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.