apni qismat ke hue sare sitare patthar
apnī qismat ke hue saare sitāre patthar
phuul dāman meñ tire aur hamāre patthar
ham bhī 'iisā kī tarah tum se yahī kahte haiñ
jo gunahgār nahīñ hai vahī maare patthar
haq na mil paa.e mashaqqat kā to hotā hai yahī
zulm ke sāmne hote haiñ sahāre patthar
mo'jiza 'ishq kā ye bhī hai zamāne vaalo
mere āñgan meñ hue phuul tumhāre patthar
dast-e-nafrat ne kiyā paikar-e-īmāñ zaḳhmī
muft meñ ho ga.e badnām bechāre patthar
sone chāñdī ne to kuchh bhī na diyā ham ko 'zafar'
yā-ḳhudā ab mirī qismat ko sañvāre patthar
apni qismat ke hue sare sitare patthar
phul daman mein tere aur hamare patthar
hum bhi 'isa ki tarah tum se yahi kahte hain
jo gunahgar nahin hai wahi mare patthar
haq na mil pae mashaqqat ka to hota hai yahi
zulm ke samne hote hain sahaare patthar
mo'jiza 'ishq ka ye bhi hai zamane walo
mere aangan mein hue phul tumhaare patthar
dast-e-nafrat ne kiya paikar-e-iman zaKHmi
muft mein ho gae badnam bechaare patthar
sone chandi ne to kuchh bhi na diya hum ko 'zafar'
ya-KHuda ab meri qismat ko sanware patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.