apni qismat mein agar aish ke saman hote
apnī qismat meñ agar aish ke sāmāñ hote
ain mumkin thā ki ham aur pareshāñ hote
bāġhbāñ naaz na kar apne chaman-zāroñ par
ham ne dekhe haiñ chaman-zār bayābāñ hote
aur hī Dhañg se tanzīm-e-gulistāñ hotī
dūr-andesh agar ahl-e-gulistāñ hote
yahī duniyā jo jahannum hai vo jannat hotī
apne kirdār se insāñ agar insāñ hote
shāḳh-e-nāzuk pe khile hī the ki murjhā bhī ga.e
ek din phuul yahī shān-e-bahārāñ hote
apne hī ghar kī kisī shai pe nahīñ haq apnā
is se behtar thā ki ham be-sar-o-sāmāñ hote
ham ne har jaur sahā un kā ḳhushī se lekin
kaash vo apnī jafāoñ pe pashemāñ hote
koī ḳhūbī na koī vasf na koī jauhar
ham agar hote to kis baat pe nāzāñ hote
tab-e-mauzūñ meñ agar zor-e-bayāñ bhī hotā
ham bhī auroñ kī tarah sho.ala-ba-dāmāñ hote
ai 'kañval' pā-e-talab hī meñ thī laġhzish varna
marhale jo bhī the is raah meñ āsāñ hote
apni qismat mein agar aish ke saman hote
ain mumkin tha ki hum aur pareshan hote
baghban naz na kar apne chaman-zaron par
hum ne dekhe hain chaman-zar bayaban hote
aur hi Dhang se tanzim-e-gulistan hoti
dur-andesh agar ahl-e-gulistan hote
yahi duniya jo jahannum hai wo jannat hoti
apne kirdar se insan agar insan hote
shaKH-e-nazuk pe khile hi the ki murjha bhi gae
ek din phul yahi shan-e-bahaaran hote
apne hi ghar ki kisi shai pe nahin haq apna
is se behtar tha ki hum be-sar-o-saman hote
hum ne har jaur saha un ka KHushi se lekin
kash wo apni jafaon pe pasheman hote
koi KHubi na koi wasf na koi jauhar
hum agar hote to kis baat pe nazan hote
tab-e-mauzun mein agar zor-e-bayan bhi hota
hum bhi auron ki tarah shoala-ba-daman hote
ai 'kanwal' pa-e-talab hi mein thi laghzish warna
marhale jo bhi the is rah mein aasan hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.