apni qudrat se KHuda husn-bayani de de
apnī qudrat se ḳhudā husn-bayānī de de
kitnā muhmal huuñ mujhe lafz-o-ma'ānī de de
zindagī detā hai jo us pe yaqīñ hai merā
de sake maut to ai dushman-e-jānī de de
tū mire pyaar meñ Dhal jā.egā rafta-rafta
apne bartāv se ye husn-e-gumānī de de
jis meñ har chiiz kī daryāft kā rahtā thā junūñ
phir mujhe maulā vahī 'umr divānī de de
zindagī bhar jise siine se lagā kar rakkhūñ
vaqt-e-ruḳhsat hai tū ik aisī nishānī de de
phir to har dil pe hukūmat ho tirī ai bhaa.ī
apne lahje ko agar charb-zabānī de de
merā bhī pyaar ho ham-dosh-e-bahārāñ jānāñ
tū agar hoñToñ ko iqrār-bayānī de de
kitne hī karb se guzrā huuñ to ye she'r huā
is ko tash.hīr bhī ab shāh-e-jahānī de de
apni qudrat se KHuda husn-bayani de de
kitna muhmal hun mujhe lafz-o-ma'ani de de
zindagi deta hai jo us pe yaqin hai mera
de sake maut to ai dushman-e-jaani de de
tu mere pyar mein Dhal jaega rafta-rafta
apne bartaw se ye husn-e-gumani de de
jis mein har chiz ki daryaft ka rahta tha junun
phir mujhe maula wahi 'umr diwani de de
zindagi bhar jise sine se laga kar rakkhun
waqt-e-ruKHsat hai tu ek aisi nishani de de
phir to har dil pe hukumat ho teri ai bhai
apne lahje ko agar charb-zabani de de
mera bhi pyar ho ham-dosh-e-bahaaran jaanan
tu agar honTon ko iqrar-bayani de de
kitne hi karb se guzra hun to ye she'r hua
is ko tashhir bhi ab shah-e-jahani de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.