apni rah-e-amal talash karo
apnī rāh-e-'amal talāsh karo
kho ga.ī hai ġhazal talāsh karo
āḳhirī had vafā kī aa pahuñchī
merā ne'mul-badal talāsh karo
chheḌ rakkhā hai qissa-e-ulfat
koī zarbul-masal talāsh karo
tum ko tūfān roknā hai agar
merī uljhan kā hal talāsh karo
ab tumhārā yahī hai kaam 'samar'
kho diyā hai jo kal talāsh karo
apni rah-e-'amal talash karo
kho gai hai ghazal talash karo
aaKHiri had wafa ki aa pahunchi
mera ne'mul-badal talash karo
chheD rakkha hai qissa-e-ulfat
koi zarbul-masal talash karo
tum ko tufan rokna hai agar
meri uljhan ka hal talash karo
ab tumhaara yahi hai kaam 'samar'
kho diya hai jo kal talash karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.