apni rangin koi sham nahin kar sakta
apnī rangīn koī shaam nahīñ kar saktā
chhoḌ kar maiñ tujhe ārām nahīñ kar saktā
maiñ ne ik umr gañvā dī hai ġhazal kahne meñ
mere jaisā to koī kaam nahīñ kar saktā
terī āñkhoñ kā liyā kartā huuñ bosa har din
mujh ko mad.hosh koī jaam nahīñ kar saktā
ishq ko aap ibādat kī nazar se dekho
ishq insān ko gumnām nahīñ kar saktā
ḳhud ko barbād kiyā maiñ ne ḳhatā hai merī
maiñ tire sar koī ilzām nahīñ kar saktā
maiñ ne hāthoñ pe tirā naam nahīñ likkhā hai
maiñ tire naam ko badnām nahīñ kar saktā
merā dil mere liye ka.aba-o-kāshī hai 'dil'
maiñ ye jāgīr tire naam nahīñ kar saktā
apni rangin koi sham nahin kar sakta
chhoD kar main tujhe aaram nahin kar sakta
main ne ek umr ganwa di hai ghazal kahne mein
mere jaisa to koi kaam nahin kar sakta
teri aankhon ka liya karta hun bosa har din
mujh ko madhosh koi jam nahin kar sakta
ishq ko aap ibaadat ki nazar se dekho
ishq insan ko gumnam nahin kar sakta
KHud ko barbaad kiya main ne KHata hai meri
main tere sar koi ilzam nahin kar sakta
main ne hathon pe tera nam nahin likkha hai
main tere nam ko badnam nahin kar sakta
mera dil mere liye kaba-o-kashi hai 'dil'
main ye jagir tere nam nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.