apni rudad kahun ya gham-e-duniya likkhun
apnī rūdād kahūñ yā ġham-e-duniyā likkhūñ
kaun sī baat kahūñ kaun sā qissa likkhūñ
bāb-e-tahrīr meñ hai lauh-o-qalam par ta.azīr
barg-e-sāda hī pe ab harf-e-tamannā likkhūñ
shaam to shaam thī ab sub.h kā manzar dekho
kis kī maiñ hajv kahūñ kis kā qasīda likkhūñ
us sitam pesha kā e.ajāz-e-sitam hī hogā
dast-e-qātil ko agar dast-e-masīhā likkhūñ
itnī be-rabt hai tafsīl-e-ġham-e-zīst 'sharar'
ḳhud samajhne ke liye is kā ḳhulāsa likkhūñ
apni rudad kahun ya gham-e-duniya likkhun
kaun si baat kahun kaun sa qissa likkhun
bab-e-tahrir mein hai lauh-o-qalam par tazir
barg-e-sada hi pe ab harf-e-tamanna likkhun
sham to sham thi ab subh ka manzar dekho
kis ki main hajw kahun kis ka qasida likkhun
us sitam pesha ka eajaz-e-sitam hi hoga
dast-e-qatil ko agar dast-e-masiha likkhun
itni be-rabt hai tafsil-e-gham-e-zist 'sharar'
KHud samajhne ke liye is ka KHulasa likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.