apni rudad yun bayan ho jae
apnī rūdād yuuñ bayāñ ho jaa.e
ik patiñgā jale dhuāñ ho jaa.e
ḳhaak mil jaa.e ḳhaak meñ merī
yā sitāroñ meñ zau-fishāñ ho jaa.e
us kī sūrat pe tabsira kaisā
aa.ina jis se bad-gumāñ ho jaa.e
ye jahāñ ḳhvāb hai magar aisā
aañkh mūñdeñ to rā.egāñ ho jaa.e
apnī rusvā.iyāñ mujhe manzūr
tū agar merā rāz-dāñ ho jaa.e
merī be-tābiyāñ bayān huiiñ
ab tire zabt kā bayāñ ho jaa.e
apni rudad yun bayan ho jae
ek patinga jale dhuan ho jae
KHak mil jae KHak mein meri
ya sitaron mein zau-fishan ho jae
us ki surat pe tabsira kaisa
aaina jis se bad-guman ho jae
ye jahan KHwab hai magar aisa
aankh munden to raegan ho jae
apni ruswaiyan mujhe manzur
tu agar mera raaz-dan ho jae
meri be-tabiyan bayan huin
ab tere zabt ka bayan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.