apni sanson se hum Dare kitne
apnī sāñsoñ se ham Dare kitne
zindagī ke liye mare kitne
dostī pyaar zarf hamdardī
ham ne dekhe haiñ kaTghare kitne
ye jo khoTe haiñ bastiyoñ ke haiñ
log jangal ke the khare kitne
qahqaha ek bhī na kaT paayā
mere aañsū the bhoñthre kitne
kaisī bārish huī hai ab ke baras
peḌ murjhā ga.e hare kitne
kitnī chiknī samā.ateñ haiñ yahāñ
sher mere haiñ khurdure kitne
ham ko to tishnagī kā nashsha hai
koī ab jaam bhī bhare kitne
ek sahrā sā rah gayā 'sāhil'
abr dariyā pe hī jhare kitne
apni sanson se hum Dare kitne
zindagi ke liye mare kitne
dosti pyar zarf hamdardi
hum ne dekhe hain kaTghare kitne
ye jo khoTe hain bastiyon ke hain
log jangal ke the khare kitne
qahqaha ek bhi na kaT paya
mere aansu the bhonthre kitne
kaisi barish hui hai ab ke baras
peD murjha gae hare kitne
kitni chikni samaaten hain yahan
sher mere hain khurdure kitne
hum ko to tishnagi ka nashsha hai
koi ab jam bhi bhare kitne
ek sahra sa rah gaya 'sahil'
abr dariya pe hi jhare kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.