apni shohrat ka bharam mujh pe jatane wala
apnī shohrat kā bharam mujh pe jatāne vaalā
bhuul baiThā hai use maiñ huuñ banāne vaalā
vaqt paḌtā hai to hotā nahīñ maujūd kahīñ
kaam aatā hī nahīñ bāteñ banāne vaalā
baap banñe pe samajh aa.ī haqīqat mujh ko
ḳharch kartā hī nahīñ ḳhud pe kamāne vaalā
maiñ ne chhoḌā hai jise dil se lagā kar apne
ab nahīñ koī use dil se lagāne vaalā
sar se paanī bhī guzar jaa.e magar uf na kare
dostī aise nibhātā hai nibhāne vaalā
chor-darvāza jo rakkhā hai ye bāġhīche meñ
kaun aisā hai tirā milne milāne vaalā
apni shohrat ka bharam mujh pe jatane wala
bhul baiTha hai use main hun banane wala
waqt paDta hai to hota nahin maujud kahin
kaam aata hi nahin baaten banane wala
bap banne pe samajh aai haqiqat mujh ko
KHarch karta hi nahin KHud pe kamane wala
main ne chhoDa hai jise dil se laga kar apne
ab nahin koi use dil se lagane wala
sar se pani bhi guzar jae magar uf na kare
dosti aise nibhata hai nibhane wala
chor-darwaza jo rakkha hai ye baghiche mein
kaun aisa hai tera milne milane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.