Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni surat ka hi didar dobara kar len

Aslam Gurdaspuri

apni surat ka hi didar dobara kar len

Aslam Gurdaspuri

MORE BYAslam Gurdaspuri

    apnī sūrat dīdār dobāra kar leñ

    Dūbte chāñd ham phir se nazāra kar leñ

    zindagī itnī ġhanīmat to nahīñ jis ke liye

    ahd-e-kam-zarf har baat gavāra kar leñ

    shaiḳh jis 'ahd detā hai misāleñ ham ko

    kaise us 'ahd ko ham zinda dobāra kar leñ

    'umr bhar ahl-e-tarab luuT ke sāhil ke maze

    kyā javāñ-mardī hai tūfāñ se kinārā kar leñ

    āsmānoñ pe to insān nahīñ rah sakte

    jaise mumkin ho zamīñ par guzārā kar leñ

    ab to bīmār-e-mohabbat hai hālat nāzuk

    chārasāzoñ se kaho vo koī chārā kar leñ

    jis ke īmāñ meñ insāñ se ho nafrat shāmil

    kis tarah aise sitam-gar se guzārā kar leñ

    ab to is shahr meñ aisā koī insān nahīñ

    jis se mil kar kabhī zikr tumhārā kar leñ

    Duub jaate haiñ ghaḌī pal meñ sitāre 'aslam'

    kis tavaqqo pe use aañkh taarā kar leñ

    apni surat ka hi didar dobara kar len

    Dubte chand ka hum phir se nazara kar len

    zindagi itni ghanimat to nahin jis ke liye

    ahd-e-kam-zarf ki har baat gawara kar len

    shaiKH jis 'ahd ki deta hai misalen hum ko

    kaise us 'ahd ko hum zinda dobara kar len

    'umr bhar ahl-e-tarab luT ke sahil ke maze

    kya jawan-mardi hai tufan se kinara kar len

    aasmanon pe to insan nahin rah sakte

    jaise mumkin ho zamin par hi guzara kar len

    ab to bimar-e-mohabbat ki hai haalat nazuk

    chaarasazon se kaho wo koi chaara kar len

    jis ke iman mein hi insan se ho nafrat shamil

    kis tarah aise sitam-gar se guzara kar len

    ab to is shahr mein aisa koi insan nahin

    jis se mil kar hi kabhi zikr tumhaara kar len

    Dub jate hain ghaDi pal mein sitare 'aslam'

    kis tawaqqo pe use aankh ka tara kar len

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now