apni tabi’aton mein na ghussa na taw tha
apnī tabī’atoñ meñ na ġhussa na taav thā
be-iltifātiyoñ ke sabab ye subhāv thā
ā'sāb meñ tanāv diloñ meñ khiñchāv thā
mauzū'-e-guftugū yahī bāzār bhaav thā
apnā vajūd bhī koī kāġhaz kī naav thā
bahtā chalā gayā hai jahāñ tak bahāv thā
saada the aise ham ki samajh hī nahīñ sake
bātoñ meñ kaisā pher thā kaisā ghumāv thā
galiyāñ vahīñ haiñ shahr vahī rāste vahī
vo log hī nahīñ rahe jin se lagāv thā
apne liye sune hue qissoñ meñ thā maza
ahbāb ke ḳhulūs meñ aisā dabāv thā
dushman bhī dushmanoñ kī tarah mil nahīñ sakā
apne mizāj meñ bhī baḌā rakh-rakhāv thā
majbūr yuuñ hue ki hameñ yaad hī nahīñ
mailān kis taraf thā kidhar ko jhukāv thā
tārīḳh likhne vāloñ se 'iqbāl' pūchhiye
apne vatan meñ pahle bhī kyā bhed-bhāv thā
apni tabi’aton mein na ghussa na taw tha
be-iltifatiyon ke sabab ye subhaw tha
aa'sab mein tanaw dilon mein khinchaw tha
mauzu'-e-guftugu yahi bazar bhaw tha
apna wajud bhi koi kaghaz ki naw tha
bahta chala gaya hai jahan tak bahaw tha
sada the aise hum ki samajh hi nahin sake
baaton mein kaisa pher tha kaisa ghumaw tha
galiyan wahin hain shahr wahi raste wahi
wo log hi nahin rahe jin se lagaw tha
apne liye sune hue qisson mein tha maza
ahbab ke KHulus mein aisa dabaw tha
dushman bhi dushmanon ki tarah mil nahin saka
apne mizaj mein bhi baDa rakh-rakhaw tha
majbur yun hue ki hamein yaad hi nahin
mailan kis taraf tha kidhar ko jhukaw tha
tariKH likhne walon se 'iqbaal' puchhiye
apne watan mein pahle bhi kya bhed-bhaw tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.