apni tajalliyon se mamur ho gae hum
apnī tajalliyoñ se māmūr ho ga.e ham
yā ḳhāk-e-rahguzar the yā tuur ho ga.e ham
yāroñ kī tishna-kāmī zindāñ meñ yaad aa.ī
saaqī se jaam le kar ranjūr ho ga.e ham
ham aur jā ke zulf-e-ayyām se ulajhte
ai kākul-e-pareshāñ majbūr ho ga.e ham
yāroñ ne dushmanī kī ham ne ḳhulūs bartā
kuchh duur ho ga.e vo kuchh duur ho ga.e ham
mahfil meñ āḳhir-e-shab ik baat kī kamī thī
vo baat ham ne kah dī mansūr ho ga.e ham
apni tajalliyon se mamur ho gae hum
ya KHak-e-rahguzar the ya tur ho gae hum
yaron ki tishna-kaami zindan mein yaad aai
saqi se jam le kar ranjur ho gae hum
hum aur ja ke zulf-e-ayyam se ulajhte
ai kakul-e-pareshan majbur ho gae hum
yaron ne dushmani ki hum ne KHulus barta
kuchh dur ho gae wo kuchh dur ho gae hum
mahfil mein aaKHir-e-shab ek baat ki kami thi
wo baat hum ne kah di mansur ho gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.