apnī talab kā naam Dubone kyuuñ jaa.eñ mai-ḳhāne tak
tishna-labī kā ik dariyā hai shīshe se paimāne tak
husn o 'ishq kā soz-e-ta.alluq samtoñ kā pāband nahīñ
aksar to ḳhud sham' kā sho'la baḌh ke gayā parvāne tak
rāh-e-talab ke pech-o-ḳham kā andāza āsān nahīñ
ahl-e-ḳhirad kyā chiiz haiñ rasta bhuul ga.e dīvāne tak
saaqī ko ye ḳhush-fahmī thī ham tak mauj na aa.egī
pyaas kā jab paimāna chhalkā Duub ga.e mai-ḳhāne tak
miTTī se jab phuul khilā.e kār-e-junūñ kī mehnat ne
shahr kuchh is andāz se phaile jā pahuñche vīrāne tak
zaḳhm-e-hunar kā rañg salāmat sab ko ḳhabar ho jā.egī
kitne chehre ham ne tarāshe haath qalam ho jaane tak
is ġhurbat kī dhuup meñ 'shā.ir' apnoñ kā saaya bhī na thā
jis ġhurbat kī dhuup meñ ham ko yaad aa.e begāne tak
apni talab ka nam Dubone kyun jaen mai-KHane tak
tishna-labi ka ek dariya hai shishe se paimane tak
husn o 'ishq ka soz-e-talluq samton ka paband nahin
aksar to KHud sham' ka sho'la baDh ke gaya parwane tak
rah-e-talab ke pech-o-KHam ka andaza aasan nahin
ahl-e-KHirad kya chiz hain rasta bhul gae diwane tak
saqi ko ye KHush-fahmi thi hum tak mauj na aaegi
pyas ka jab paimana chhalka Dub gae mai-KHane tak
miTTi se jab phul khilae kar-e-junun ki mehnat ne
shahr kuchh is andaz se phaile ja pahunche virane tak
zaKHm-e-hunar ka rang salamat sab ko KHabar ho jaegi
kitne chehre hum ne tarashe hath qalam ho jaane tak
is ghurbat ki dhup mein 'shair' apnon ka saya bhi na tha
jis ghurbat ki dhup mein hum ko yaad aae begane tak
Source :
- Book : naquush (Pg. 232)
-
Publication : kitabi duniya
(1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.