apni tanhai ke sailab mein bahte rahna
apnī tanhā.ī ke sailāb meñ bahte rahnā
kitnā dushvār hai ai dost akele rahnā
paañv patthar kiye dete haiñ ye mīloñ ke safar
aur manzil kā taqāza hai ki chalte rahnā
band kamre meñ kisī yaad kī ḳhushbū oḌhe
tum bhī 'ġhālib' kī tarah yaad meñ Duube rahnā
bahte rahne se to dariyāoñ meñ kho jāoge
jhiil banñā hai to ik moḌ pe Thahre rahnā
dar-o-dīvār jahāñ jaan ke dushman ho jaa.eñ
aur usī ghar meñ jo rahnā ho to kaise rahnā
dushmanoñ se to kabhī ḳhauf na khānā lekin
mashvara ye hai ki ahbāb se bach ke rahnā
jaane kyā rog lagā rakkhā hai tum ne 'tāriq'
har jagah TuuTe hue bikhre hue se rahnā
apni tanhai ke sailab mein bahte rahna
kitna dushwar hai ai dost akele rahna
panw patthar kiye dete hain ye milon ke safar
aur manzil ka taqaza hai ki chalte rahna
band kamre mein kisi yaad ki KHushbu oDhe
tum bhi 'ghaalib' ki tarah yaad mein Dube rahna
bahte rahne se to dariyaon mein kho jaoge
jhil banna hai to ek moD pe Thahre rahna
dar-o-diwar jahan jaan ke dushman ho jaen
aur usi ghar mein jo rahna ho to kaise rahna
dushmanon se to kabhi KHauf na khana lekin
mashwara ye hai ki ahbab se bach ke rahna
jaane kya rog laga rakkha hai tum ne 'tariq'
har jagah TuTe hue bikhre hue se rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.