apni tanhai ko bazar samajhte rahe hum
apnī tanhā.ī ko bāzār samajhte rahe ham
zindagī tujh ko ḳharīdār samajhte rahe ham
kyā ḳhabar thī ki yahī hijr ḳhushī bhī degā
āshiqī meñ jise āzār samajhte rahe ham
manzileñ jitnī thakan utnī safar lā-mahdūd
so khaḌe raah meñ āsār samajhte rahe ham
raqs kartā rahā dil ḳhuub dhaḌaktā rahā dil
haañ yahī dil jise bīmār samajhte rahe ham
apni tanhai ko bazar samajhte rahe hum
zindagi tujh ko KHaridar samajhte rahe hum
kya KHabar thi ki yahi hijr KHushi bhi dega
aashiqi mein jise aazar samajhte rahe hum
manzilen jitni thakan utni safar la-mahdud
so khaDe rah mein aasar samajhte rahe hum
raqs karta raha dil KHub dhaDakta raha dil
han yahi dil jise bimar samajhte rahe hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.