apni tanhaiyon ke ghaar mein hun
apnī tanhā.iyoñ ke ġhaar meñ huuñ
aisā lagtā hai maiñ mazār meñ huuñ
tū ne pūchhā kabhī na haal mirā
muddatoñ se tire dayār meñ huuñ
terī ḳhushbū hai merī sāñsoñ meñ
jab se maiñ terī rahguzār meñ huuñ
mujh pe apnā hai iḳhtiyār kahāñ
maiñ to bas tere iḳhtiyār meñ huuñ
mujh ko manzil se āshnā kar de
maiñ tirī raah ke ġhubār meñ huuñ
jab se terī nigāh-e-lutf uThī
chāñd tāroñ kī maiñ qatār meñ huuñ
mujh ko duniyā se kyā ġharaz 'afzal'
maiñ to Duubā ḳhayāl-e-yār meñ huuñ
apni tanhaiyon ke ghaar mein hun
aisa lagta hai main mazar mein hun
tu ne puchha kabhi na haal mera
muddaton se tere dayar mein hun
teri KHushbu hai meri sanson mein
jab se main teri rahguzar mein hun
mujh pe apna hai iKHtiyar kahan
main to bas tere iKHtiyar mein hun
mujh ko manzil se aashna kar de
main teri rah ke ghubar mein hun
jab se teri nigah-e-lutf uThi
chand taron ki main qatar mein hun
mujh ko duniya se kya gharaz 'afzal'
main to Duba KHayal-e-yar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.