apni taqdir ko piTe jo pareshan hai koi
apnī taqdīr ko piiTe jo pareshāñ hai koī
aap ke bas meñ ilāj-e-ġham-e-daurāñ hai koī
rokiye us ko jo is vaqt ġhazal-ḳhvāñ hai koī
jail meñ naġhma-sarā.ī kā bhī imkāñ hai koī
apnī marzī se to ugte nahīñ ḳhud-rav paude
ham ġharīboñ kā ba-har-hāl nigahbāñ hai koī
zard chehroñ ko tabassum ne kiyā hai rusvā
varna zāhir bhī na hotā ki pareshāñ hai koī
hirs darbān ko aaqā kā musāhib samjhe
sabr aaqā ko samajhtā hai ki darbāñ hai koī
chaap sun kar jo haTā dī thī uThā lā saaqī
shaiḳh sāhab haiñ maiñ samjhā thā musalmāñ hai koī
mujh se kāfir ke yahāñ 'shād' mukammal sarqa
asas-e-shahr baḌā sāhab-e-īmāñ hai koī
apni taqdir ko piTe jo pareshan hai koi
aap ke bas mein ilaj-e-gham-e-dauran hai koi
rokiye us ko jo is waqt ghazal-KHwan hai koi
jail mein naghma-sarai ka bhi imkan hai koi
apni marzi se to ugte nahin KHud-raw paude
hum gharibon ka ba-har-haal nigahban hai koi
zard chehron ko tabassum ne kiya hai ruswa
warna zahir bhi na hota ki pareshan hai koi
hirs darban ko aaqa ka musahib samjhe
sabr aaqa ko samajhta hai ki darban hai koi
chap sun kar jo haTa di thi uTha la saqi
shaiKH sahab hain main samjha tha musalman hai koi
mujh se kafir ke yahan 'shad' mukammal sarqa
asas-e-shahr baDa sahab-e-iman hai koi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 256)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.