apni taskin ka saman kar le
apnī taskīn kā sāmāñ kar le
dil kī vus.at ko bayābāñ kar le
dil ke har dard kā darmāñ kar le
dāġh-e-hasrat ko numāyāñ kar le
dekh achchhā nahīñ rusvā honā
ḳhud hī ḳhūn-e-dil-e-nālāñ kar le
dil kī vīrānī kā ronā kab tak
raunaq-e-bazm-e-gulistāñ kar le
ziist rah jā.egī qadmoñ meñ 'sharār'
maut ko apnā nigahbāñ kar le
apni taskin ka saman kar le
dil ki wusat ko bayaban kar le
dil ke har dard ka darman kar le
dagh-e-hasrat ko numayan kar le
dekh achchha nahin ruswa hona
KHud hi KHun-e-dil-e-nalan kar le
dil ki virani ka rona kab tak
raunaq-e-bazm-e-gulistan kar le
zist rah jaegi qadmon mein 'sharar'
maut ko apna nigahban kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.