apni to taqdir mein shab-bhar KHak uDana hoga hi
apnī to taqdīr meñ shab-bhar ḳhaak uḌānā hogā hī
yaar to saare bichhaḌ chale haiñ un kā Thikānā hogā hī
din chaḌh aayā kyoñ nahīñ aa.e jaa.eñ un se pūchh aa.eñ
lekin un ke paas to ai dil koī bahāna hogā hī
aao chaleñ un kī mahfil meñ aur apnī sudh-budh kho deñ
aaj bhī yaaro un āñkhoñ meñ koī fasāna hogā hī
sub.h ko shab kah dete haiñ ham sach ko jhuuT batāte haiñ
ham jaise sar-phiroñ se to nārāz zamāna hogā hī
ai rangūn meñ chaltī havā merā sandesa letī jā
terā to un kī galiyoñ meñ ānā-jānā hogā hī
aaj milā thā 'pāshī' se maiñ vo bhī hai shādāb bahut
mirī tarah us ke dil meñ bhī ġham kā ḳhazāna hogā hī
apni to taqdir mein shab-bhar KHak uDana hoga hi
yar to sare bichhaD chale hain un ka Thikana hoga hi
din chaDh aaya kyon nahin aae jaen un se puchh aaen
lekin un ke pas to ai dil koi bahana hoga hi
aao chalen un ki mahfil mein aur apni sudh-budh kho den
aaj bhi yaro un aankhon mein koi fasana hoga hi
subh ko shab kah dete hain hum sach ko jhuT batate hain
hum jaise sar-phiron se to naraaz zamana hoga hi
ai rangun mein chalti hawa mera sandesa leti ja
tera to un ki galiyon mein aana-jaana hoga hi
aaj mila tha 'pashi' se main wo bhi hai shadab bahut
meri tarah us ke dil mein bhi gham ka KHazana hoga hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.