apni wahshat ke nae zaKHm chhupaun kaise
apnī vahshat ke na.e zaḳhm chhupā.ūñ kaise
maiñ tirī yaad kī dīvār girā.ūñ kaise
shahr-e-dil meñ hai vahī aaj bhī chup kā aalam
dar-o-dīvār sadāoñ se sajā.ūñ kaise
gumbad-e-fikr meñ āvāzeñ hī āvāzeñ haiñ
maiñ har āvāz kī tasvīr banā.ūñ kaise
apni wahshat ke nae zaKHm chhupaun kaise
main teri yaad ki diwar giraun kaise
shahr-e-dil mein hai wahi aaj bhi chup ka aalam
dar-o-diwar sadaon se sajaun kaise
gumbad-e-fikr mein aawazen hi aawazen hain
main har aawaz ki taswir banaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.