apni wahshat ki suno izn-o-ijazat pe na jao
apnī vahshat kī suno izn-o-ijāzat pe na jaao
daar par jaao magar auroñ kī dā'vat pe na jaao
kitne hī dasht-o-daman mujh meñ paḌe phirte haiñ
sāhibo kohkan-o-qais kī shohrat pe na jaao
laakh raas aa.e magar kaam hai nādānī kā
tum mire mā-hasal-e-kār-e-mohabbat pe na jaao
zarf-e-mun'im se baḌā hai mirā dāmān-e-talab
apnī zar-muhreñ gino merī zarūrat pe na jaao
aur ik jast meñ dīvār se Takrā.egā sar
qaid phir qaid hai zanjīr kī vus'at pe na jaao
hū ke sahrāoñ meñ un logoñ kī yaad aatī hai
ham se ghar meñ bhī jo kahte the khulī chhat pe na jaao
apni wahshat ki suno izn-o-ijazat pe na jao
dar par jao magar auron ki da'wat pe na jao
kitne hi dasht-o-daman mujh mein paDe phirte hain
sahibo kohkan-o-qais ki shohrat pe na jao
lakh ras aae magar kaam hai nadani ka
tum mere ma-hasal-e-kar-e-mohabbat pe na jao
zarf-e-mun'im se baDa hai mera daman-e-talab
apni zar-muhren gino meri zarurat pe na jao
aur ek jast mein diwar se Takraega sar
qaid phir qaid hai zanjir ki wus'at pe na jao
hu ke sahraon mein un logon ki yaad aati hai
hum se ghar mein bhi jo kahte the khuli chhat pe na jao
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 61)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.