apni wahshat pe bas nahin mera
apnī vahshat pe bas nahīñ merā
phir bhī dil bul-havas nahīñ merā
ek terī hī aas hai mujh ko
aur tujh pe hī bas nahīñ merā
koī ḳhvāb-e-chaman nahīñ mujh ko
koī bāb-e-qafas nahīñ merā
ek ḳhāna-ḳharāb hasrat ke
aur kuchh pesh-o-pas nahīñ merā
zikr us kā na kar ḳhudā ke liye
khīñch tār-e-nafas nahīñ merā
apni wahshat pe bas nahin mera
phir bhi dil bul-hawas nahin mera
ek teri hi aas hai mujh ko
aur tujh pe hi bas nahin mera
koi KHwab-e-chaman nahin mujh ko
koi bab-e-qafas nahin mera
ek KHana-KHarab hasrat ke
aur kuchh pesh-o-pas nahin mera
zikr us ka na kar KHuda ke liye
khinch tar-e-nafas nahin mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.