apni wahshat pe ro raha hun main
apnī vahshat pe ro rahā huuñ maiñ
kis parinde kā ghoñsla huuñ maiñ
terī bīnā.ī DhūñDhtī hai mujhe
terī āñkhoñ kā mas.ala huuñ maiñ
muḳhtalif giit mujh se marvī haiñ
muḳhtalif ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ
tere lafzoñ meñ nuur bhartā huuñ
terī āvāz kā diyā huuñ maiñ
kal maiñ bedār ḳhvāb-gāh meñ thā
aaj chaukhaT pe jāgtā huuñ maiñ
terī manzil agar mohabbat hai
tere raste kā rāsta huuñ maiñ
jab ghuTan par na bas chale 'ārish'
apnī āñkhoñ se phūTtā huuñ maiñ
apni wahshat pe ro raha hun main
kis parinde ka ghonsla hun main
teri binai DhunDhti hai mujhe
teri aankhon ka masala hun main
muKHtalif git mujh se marwi hain
muKHtalif KHwab dekhta hun main
tere lafzon mein nur bharta hun
teri aawaz ka diya hun main
kal main bedar KHwab-gah mein tha
aaj chaukhaT pe jagta hun main
teri manzil agar mohabbat hai
tere raste ka rasta hun main
jab ghuTan par na bas chale 'arish'
apni aankhon se phuTta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.