apni yahi pahchan, yahi apna pata hai
apnī yahī pahchān, yahī apnā patā hai
ik umr se ye sar kisī chaukhaT pe jhukā hai
yuuñ sehr-e-taḳhātub hai har ik samt ki fil-asr
khultā hī nahīñ kaun yahāñ kis kā ḳhudā hai
darvāza nahīñ, biich meñ dīvār hai apne
aur dastak-e-dīvār se dar kam hī khulā hai
jab jab dil-e-nāzuk pe paḌī choT koī bhī
kuchh din to dhuāñ dil se har ik lamha uThā hai
is TūTtī bantī huī duniyā meñ abhī tak
kitnoñ kā sahārā to faqat nām-e-ḳhudā hai
mahsūs kareñ sab hī bayāñ ho na kisī se
us saada o ma.asūm meñ kuchh aisī adā hai
phal jis pe na the, saaya magar sab ke liye thā
chhitnār shajar ab ke vo āñdhī meñ girā hai
kyā aur bhī darkār hai kuchh is ke sivā bhī
ai shauq-e-talab tere liye vaqt rukā hai
parvāzī-e-aflāk-e-ḳhirad jab huī aajiz
tab dahr-parastoñ ne bhī samjhā ki ḳhudā hai
ye mehr-o-muravvat to bajā, phir bhī mire dost
zālim pe karam zulm se iz.hār-e-vafā hai
ab ālam-e-fānī kī na.ī sharheñ bhī samjho
jo koī na paḌh paayā thā vo tum ne paḌhā hai
ye sabza-o-gul, chāñd sitāre, ye zamāna
mil jaa.e ye sab bhii, to haqīqat meñ ye kyā hai
apni yahi pahchan, yahi apna pata hai
ek umr se ye sar kisi chaukhaT pe jhuka hai
yun sehr-e-taKHatub hai har ek samt ki fil-asr
khulta hi nahin kaun yahan kis ka KHuda hai
darwaza nahin, bich mein diwar hai apne
aur dastak-e-diwar se dar kam hi khula hai
jab jab dil-e-nazuk pe paDi choT koi bhi
kuchh din to dhuan dil se har ek lamha uTha hai
is TuTti banti hui duniya mein abhi tak
kitnon ka sahaara to faqat nam-e-KHuda hai
mahsus karen sab hi bayan ho na kisi se
us sada o masum mein kuchh aisi ada hai
phal jis pe na the, saya magar sab ke liye tha
chhitnar shajar ab ke wo aandhi mein gira hai
kya aur bhi darkar hai kuchh is ke siwa bhi
ai shauq-e-talab tere liye waqt ruka hai
parwazi-e-aflak-e-KHirad jab hui aajiz
tab dahr-paraston ne bhi samjha ki KHuda hai
ye mehr-o-murawwat to baja, phir bhi mere dost
zalim pe karam zulm se izhaar-e-wafa hai
ab aalam-e-fani ki nai sharhen bhi samjho
jo koi na paDh paya tha wo tum ne paDha hai
ye sabza-o-gul, chand sitare, ye zamana
mil jae ye sab bhi, to haqiqat mein ye kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.