apni zat mein dariya hai wo
apnī zaat meñ dariyā hai vo
garche pyaas kā sahrā hai vo
ab to naam vafā kā sun kar
aa.heñ bharne lagtā hai vo
samajh meñ kaise aa saktā hai
sāgar se bhī gahrā hai vo
ab yāroñ kī mahfil meñ bhī
gum-sum baiThā rahtā hai vo
'aḳhtar' apne ḳhāl-o-ḳhad se
ab bhī pahle jaisā hai vo
apni zat mein dariya hai wo
garche pyas ka sahra hai wo
ab to nam wafa ka sun kar
aahen bharne lagta hai wo
samajh mein kaise aa sakta hai
sagar se bhi gahra hai wo
ab yaron ki mahfil mein bhi
gum-sum baiTha rahta hai wo
'aKHtar' apne KHal-o-KHad se
ab bhi pahle jaisa hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.