Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni zad par the khaDe hum ko to bachna kya tha

Meer Ahmad Naved

apni zad par the khaDe hum ko to bachna kya tha

Meer Ahmad Naved

apnī zad par the khaḌe ham ko to bachnā kyā thā

jo huā Thiik huā aur to honā kyā thā

marte marte mire dard lazzat ke harīs

be-mudāvā jo na marte to mudāvā kyā thā

uf vo atrāf meñ phailī huī ashiyā hujūm

haa.e is shor meñ ik dil dhḌaknā kyā thā

be-dilī haa.e nazāra ki mujhe yaad nahīñ

sarsarī dekhā thā kyā aur na dekhā kyā thā

raat us bazm meñ tasvīr ke mānind the ham

ham se pūchhe to koī sham.a jalnā kyā thā

apni zad par the khaDe hum ko to bachna kya tha

jo hua Thik hua aur to hona kya tha

marte marte hi mere dard ki lazzat ke haris

be-mudawa jo na marte to mudawa kya tha

uf wo atraf mein phaili hui ashiya ka hujum

hae is shor mein ek dil ka dhDakna kya tha

be-dili hae nazara ki mujhe yaad nahin

sarsari dekha tha kya aur na dekha kya tha

raat us bazm mein taswir ke manind the hum

hum se puchhe to koi shama ka jalna kya tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now