apnon ka Dasa mangta pani bhi nahin hai
apnoñ kā Dasā māñgtā paanī bhī nahīñ hai
niklegī magar jaan ye jaanī bhī nahīñ hai
is daur-e-mohabbat meñ huā haal jo apnā
duniyā meñ to is haal kā saanī bhī nahīñ hai
ristā hai abhī tak mire zaḳhmoñ se mirā ḳhuuñ
ye choT dubāra mujhe khānī bhī nahīñ hai
chup-chāp bhī rahnā hai jatānā bhī bahut hai
par dil pe jo guzrī hai sunānī bhī nahīñ hai
dafnā.ī nahīñ jā.egī ai 'nāz' ye mujh se
ye 'ishq kī hai laash uThānī bhī nahīñ hai
apnon ka Dasa mangta pani bhi nahin hai
niklegi magar jaan ye jaani bhi nahin hai
is daur-e-mohabbat mein hua haal jo apna
duniya mein to is haal ka sani bhi nahin hai
rista hai abhi tak mere zaKHmon se mera KHun
ye choT dubara mujhe khani bhi nahin hai
chup-chap bhi rahna hai jatana bhi bahut hai
par dil pe jo guzri hai sunani bhi nahin hai
dafnai nahin jaegi ai 'naz' ye mujh se
ye 'ishq ki hai lash uThani bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.