apnon ka sataya hua apnon ka Dasa hun
apnoñ kā satāyā huā apnoñ kā Dasā huuñ
jī-jān luTā aayā magar phir bhī burā huuñ
is jism ko jhoñkā hai mashaqqat kī agan meñ
har lamha marā mar ke jiyā jī ke marā huuñ
har roz qalam sar ko kiyā haath se apne
har raat ko jazbāt kī suulī pe chaḌhā huuñ
is mulk meñ sone ke nivāle nahīñ bhaa.ī
bas ret hai aur ret ko maiñ phāñk rahā huuñ
jis ghar ko baḌe taao se tum baañT rahe ho
us ghar ke banāne ko shab-o-roz jalā huuñ
tum sochte ho aish kā bistar hai mayassar
maiñ dhuup ke sahrā meñ thakan oḌh rahā huuñ
apnon ka sataya hua apnon ka Dasa hun
ji-jaan luTa aaya magar phir bhi bura hun
is jism ko jhonka hai mashaqqat ki agan mein
har lamha mara mar ke jiya ji ke mara hun
har roz qalam sar ko kiya hath se apne
har raat ko jazbaat ki suli pe chaDha hun
is mulk mein sone ke niwale nahin bhai
bas ret hai aur ret ko main phank raha hun
jis ghar ko baDe tao se tum banT rahe ho
us ghar ke banane ko shab-o-roz jala hun
tum sochte ho aish ka bistar hai mayassar
main dhup ke sahra mein thakan oDh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.