apnon ke karam se gar tu dur raha hota
apnoñ ke karam se gar tū duur rahā hotā
ehsān ke sho'loñ se dāman na jalā hotā
dāman mirā duniyā kī daulat se bharā hotā
maiñ ne bhī zamīr apnā gar bech diyā hotā
auqāt hī kyā hotī ham ḳhāk-nashīnoñ kī
rishta tirī yādoñ se gar toḌ diyā hotā
gulshan kī bahāroñ se kuchh to hameñ mil jaatā
ġham is kā na thā dāman kāñToñ se bharā hotā
gar tū mirā ho jaatā duniyā mirī ho jaatī
duniyā na ḳhafā hotī gar tū na ḳhafā hotā
ehsās tumheñ hotā tab merī tabāhī kā
jo vaqt paḌā mujh par tum par bhī paḌā hotā
duniyā se 'na'īm' apnī taqdīr judā hotī
ashkoñ ko mire un kā dāman jo milā hotā
apnon ke karam se gar tu dur raha hota
ehsan ke sho'lon se daman na jala hota
daman mera duniya ki daulat se bhara hota
main ne bhi zamir apna gar bech diya hota
auqat hi kya hoti hum KHak-nashinon ki
rishta teri yaadon se gar toD diya hota
gulshan ki bahaaron se kuchh to hamein mil jata
gham is ka na tha daman kanTon se bhara hota
gar tu mera ho jata duniya meri ho jati
duniya na KHafa hoti gar tu na KHafa hota
ehsas tumhein hota tab meri tabahi ka
jo waqt paDa mujh par tum par bhi paDa hota
duniya se 'na'im' apni taqdir juda hoti
ashkon ko mere un ka daman jo mila hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.