apnon ke sath jab koi hota hai hadisa
apnoñ ke saath jab koī hotā hai hādisa
siine meñ nok-e-tīr chubhotā hai hādisa
taaza lahū se kartā hai poshāk pahle tar
āñchal phir āñsuoñ se bhigotā hai hādisa
us kī bas ik hunar meñ mahārat hai be-misāl
dukh kī laḌī meñ ashk pirotā hai hādisa
be-ehtiyātī kartī hai ḳhuub us kī parvarish
ġhaflat kī narm god meñ sotā hai hādisa
bār-e-ġham-e-ajal se hoñ jab log nā-tavāñ
lāshoñ kā bojh aap hī Dhotā hai hādisa
koī 'qamar-malāl' na.ī baat to nahīñ
ḳhūnī saḌak pe roz hī hotā hai hādisa
apnon ke sath jab koi hota hai hadisa
sine mein nok-e-tir chubhota hai hadisa
taza lahu se karta hai poshak pahle tar
aanchal phir aansuon se bhigota hai hadisa
us ki bas ek hunar mein mahaarat hai be-misal
dukh ki laDi mein ashk pirota hai hadisa
be-ehtiyati karti hai KHub us ki parwarish
ghaflat ki narm god mein sota hai hadisa
bar-e-gham-e-ajal se hon jab log na-tawan
lashon ka bojh aap hi Dhota hai hadisa
koi 'qamar-malal' nai baat to nahin
KHuni saDak pe roz hi hota hai hadisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.