apnon se kuchh umid bharosa na yar ka
apnoñ se kuchh umiid bharosā na yaar kā
baajī jo aasrā hai to parvardigār kā
letī na naam maiñ to kabhī aise yaar kā
par kyā karūñ ye dil hī nahīñ iḳhtiyār kā
machhlī phañsāne jaate haiñ dariyā pe roz vo
chhuTtā nahīñ hai pinD is andhe shikār kā
joban Dhale za.iif huī ab kahāñ vo husn
aa.ī ḳhizāñ gayā vo zamāna bahār kā
aadhā badan to yuuñ hī khulā rahtā hai tirā
aaya na bāñdhnā gamho ab tak izaar kā
jhanDā gaḌā thā naam kā jin ke jahān meñ
baaqī nahīñ nishān bhī un ke mazār kā
'shaidā' ke ghar to jaane ko baiThī huuñ kyā karūñ
Dolī kā hai patā na patā hai kahār kā
apnon se kuchh umid bharosa na yar ka
baji jo aasra hai to parwardigar ka
leti na nam main to kabhi aise yar ka
par kya karun ye dil hi nahin iKHtiyar ka
machhli phansane jate hain dariya pe roz wo
chhuTta nahin hai pinD is andhe shikar ka
joban Dhale zaif hui ab kahan wo husn
aai KHizan gaya wo zamana bahaar ka
aadha badan to yun hi khula rahta hai tera
aaya na bandhna gamho ab tak izar ka
jhanDa gaDa tha nam ka jin ke jahan mein
baqi nahin nishan bhi un ke mazar ka
'shaida' ke ghar to jaane ko baiThi hun kya karun
Doli ka hai pata na pata hai kahaar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.