apnon se shikayat hai na ghairon se gila hai
apnon se shikayat hai na ghairon se gila hai
Rashid Shahjahanpuri
MORE BYRashid Shahjahanpuri
apnoñ se shikāyat hai na ġhairoñ se gilā hai
pahuñchegā jo qismat meñ ġham-o-rañj likhā hai
kis kī nigah-e-shauq hai mushtāq-e-tajallī
kyoñ jalva-e-paiham meñ vo nāmūs-e-hayā hai
girtā to huuñ saaqī ke qadam par nahīñ mālūm
ye sajda-e-rindāna hai yā laġhzish-e-pā hai
bachte nahīñ dekhā kabhī majrūh-e-mohabbat
yārab nigah-e-nāz hai yā tīr-e-qazā hai
vo shoḳh sitam-kesh to nāseh hai jafā-kosh
bīmār-e-mohabbat kā madad-gār ḳhudā hai
marne kā nahīñ ġham mujhe miTne kā nahīñ rañj
kuchh pās-e-mohabbat hai kuchh andoh-e-vafā hai
ye sādgi-e-husn hai yā nāz-e-taġhāful
dīvāne se kahte haiñ ki dīvāna huā hai
apnon se shikayat hai na ghairon se gila hai
pahunchega jo qismat mein gham-o-ranj likha hai
kis ki nigah-e-shauq hai mushtaq-e-tajalli
kyon jalwa-e-paiham mein wo namus-e-haya hai
girta to hun saqi ke qadam par nahin malum
ye sajda-e-rindana hai ya laghzish-e-pa hai
bachte nahin dekha kabhi majruh-e-mohabbat
yarab nigah-e-naz hai ya tir-e-qaza hai
wo shoKH sitam-kesh to naseh hai jafa-kosh
bimar-e-mohabbat ka madad-gar KHuda hai
marne ka nahin gham mujhe miTne ka nahin ranj
kuchh pas-e-mohabbat hai kuchh andoh-e-wafa hai
ye sadgi-e-husn hai ya naz-e-taghaful
diwane se kahte hain ki diwana hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.